Sippy films aur Pancham da
Namaste, sub sadsiyo ko,
Sub se pehle to meri taraf se sub ko naya saal bahut-bahut mubarak ho. Naye saal ke sath Pancham da ki bhi yaad
aa jati hain, 4 Jan. ki.
Gaya saal to shayad dehanto ko saal tha. 28 Jan. ko O P Nayyar sahaab, March mein Shailly Shailender sahaab,
20 May ko Anita Guha ji, 29 June ko Tony Vaz sahaab, 14 Oct ko Meera ji, 27 Oct. ko Satyan Kappu ji, 1 Nov. ko Ali
Raza sahaab, Dec. mein Teji Bachhan ji ka aur X-Mas ke din G P Sippy sahaab ka dehant ho gaya.
G P Sippy sahaab ka dehant 25th dec. ko 93 ki age mein hua. Un ki pehli film Sazaa(1951) thi. Mere khayal se
pancham da ke sath un ki ki gayi filmo ke baare mein batane ki jarurat nahin hain.Phir bhi galti se main agar
kisi film ka naam na bata saku to bata dijeaga;
1. Seeta aur geeta(1972)
2. Sholay(1975)
3. Shan(1980)
4. Shakti(1982)
5. saagar(1985)
Pichhle mail ki baat karna chata houn. Maine jo fast songs Pancham da ke bataye the, weh meri pasand ke song
the. Maine us mein koshish yehi ki thi ki Pancham da ke jo famous song nahin hain un ke baare mein batau. Asal
mein main yehi chata tha, jaisa ki annindya bhai sahaab ne bhi kaha ki agar yeh sirf ek listener se doosra
listener sun sake to weh kuchh nahin kehna chate. Unnohne bilkul thik kaha. Kyon ki yeh gane radio par kabhi
nahin aate is liye innehi gano ko maine bataya. aage bhi main aap logo ko Pancham da ke gano ke baare mein mail
bhejta rahoonga. Sanjay bhai sahaab ne Mere jeevan sathi aur Bombay to goa ki baat ki hain. Pehli baat to
dono hi gane hit hain aur ek gana romantic hain to doosra comedy. Aur maine jo gano ki baat ki hain us mein aap naac
h sakte hain.Baki mera main maqsad yehi hain ki aap logo ko main un gano ke baare batau jo radio par kabhi nahin
sunai dete.
BALWANT SINGH
---------------------------------
Looking for last minute shopping deals? Find them fast with Yahoo! Search.
[Non-text portions of this message have been removed]
-----------------------------
http://www.panchamonline.com/